Hrim, shrim, clim, megha, prabha, Jivan jyoti prachand
Shanti, kranti, jagruti, pragrati, Rachana shakti akhand.Jagat janani, mangal karani, Gayatri sukhdham
Pranvo savitri, swadha, Swaha puran kam.
Bhubhurwah swah om yut janani , Gayatri nit kalimal dahani.
Akshar choubis paramah punita , Inme basein shastra, shruti, geeta
Shashwat satoguni sat rupa ,Satya sanatan sudha anupa.
Hansarudh sitambar dhari , Swarna kanti shuchi gagan - bihari.
Pustak pushpa kamandala mala , Shubhra varna tanu nayan vishala.
Dhayan dharat pulkit hiya hoyee ,Sukh upjat dukh durmati khoyee.
Kamdhenu tum sur taru chhaya , Nirakar ki adbhut maya.
Tumhari sharan gahai jo koyi , Tarai sakal sankat so soyi.
Saraswati laxmi tum kali , Dipai tumhari jyoti nirali.
Tumhari mahima par na pavai , Jo sharad shat-mukh gun gavai.
Char ved ki matu punita , Tum brahmani gauri sita.
Maha-mantra jitane jag-mahin , Kou Gayatri sam nahin.
Sumirat hiy mey gyan prakasai , Alas pap avidhya nasai.
Srushti beej jag janani bhavani , Kal-ratri varada kalyani.
Brahma vishnu rudra sur jete , Tum so pave surata tete.
Tum bhaktanki bhakta tumhare , Jananihi putra pran te pyare.
Mahima apram - par tumhari Jay jay jay tripada bhaya hari.
Purit sakal gyan vigyanana , Tum sam adhik na jagmein ana.
Tumahi jan kachhu rahai na shesha , Tumahi pay kachhu rahai na klesha.
Janat tumahi tumahi hya jaee , Paras parsee kudhatu suhayee.
Tumhri shakti deepe sab thayee , Mata tum sab thor samayee.
Grah nakshtra brahamand ghanere , Sab gatvan tumhare prere.
Sakal shrushti - ki pran vidhata , Palak poshak nashak trata.
Mateshwari daya vrat dhari , Tum san tare pataki bhaari.
Japar krupa tumhari hoyee , Tapar krupa kare sab koyee.
Mand buddhi te buddhi bal pave , Rogi rog-rahit ho jave.
Daridra meete katai sab peera , Nashei dukh harei bhav bheera.
Gruha kalesh chit - chinta bhari , Nashei gayatri bhay - hari.
Shantati heen su - shantati pave , Shukh sampati yut mod manave.
Bhoot pishach sabai bhay khave , Yam - ke - doot nikat nahi aave.
Jo shdhava sumire chit layee , Achhat suhag sada sukhdayee.
Ghar - var sukh - prad lahain kumari , Vidhva rahain satya vrat dhari.
Jayati jayati jagdamba bhavani , Tum sam aur dayalu na dani.
Jo sadguru so diksha pave , So shadhan ko safal banave.
Sumiran kare suruchi bad - bhagi , Lahain manorath gruhi veeragi
Ashta siddhi nav - nidhi ki data , Sab samarth gayatri mata.
Rishi muni yati, tapaswi yogi , Aarat arthi chintit bhogi.
Jo jo sharan tumhari avai , So so man vanchhit fal pavai.
Bal buddhi vidhya sheel swabhau , Dhan vaibhav yash tej uchhau.
Sakal badhe upaje sukh nana , Jo yah path karai dhari dhyana.
Yah chalisa bakti - yut path karai jo koy ,
Tapar krupa prasannta gayatri ki hoy.
OM BHUR BHUWAH SWAH
OM TAT SAVITUR VARENYAM
BHRRGO DEVASYA DHIMAHI DHYO
YONAH PRACHODAYAT OM.
0 Feedback:
Post a Comment